• Inhaltsangabe

  • Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein - junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
  • आंसू : आखिर कौन था वह अजनबी जिसने सुनीता की मदद की
    May 26 2022
    Sunita aur uski ma ke paas bilkul paise nahin the aur unhe Sunita ki padhai ki fees bhi jamaa karni thi. Ma bohot pareshaan thi, tabhi use pata chala ki kisi ne 50 hazaar rupaye de diye the aur Sunita ki fees bhi bhar di thi. Ma hairaan thi ki aisa koi anjaan insaan unke liye kyun karega. Phir use pata chala ki uske pati ne kayi saal pehle kisi ko teen hazaar rupaye diye the, aur ab 30 saal baad wahi insaan unke parivaar ke liye kuchh karna chaahta tha.
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    10 Min.
  • कहानी : एक रात का सफर
    May 26 2022
    Akshara pehli baar akele bus mein safar kar rahi thi. Raat ka samay tha aur use darr bhi lag raha tha. Driver ne uske saath ek ladke ko baitha diya jo dekhne mein awaara lag raha tha. Akshara doosri taraf chehra karke baith gayi. Tabhi baarish hone lagi aur paani bus ke andar aane laga. Ladke ne Akshara ki madad ki aur uska khayal rakha. Vah achche dil ka insaan tha aur Akshara ko laga ki iss duniya mein abhi bhi insaaniyat hai.
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    8 Min.
  • अंतिम टैलीग्राम : क्या तनु अपने प्रेमी अनिरुद्ध से मिल पाई
    May 26 2022
    Tanu aur Aniruddh ke beech kayi saal pehle prem sambandh the. Lekin phir Tanu ki shaadi ho gayi thi aur Aniruddh kahin chala gaya tha. Ab Tanu ko uska telegram mila. Vah usse milna chaahta tha. Tanu ke mann mein bhi uske liye bhavna thi, lekin shaadi ke baad usne inn yaadon ko door kar diya tha. Kya use phir se zindagi ka yeh adhyaay kholna chaahiye? Telegram padhte huye Tanu yahi sochti rahi ki ab apne jeevan ko kis mod par le jaaye? Kya ateet ki taraf lautna sambhav hai?
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    12 Min.

Das sagen andere Hörer zu Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 4

Nur Nutzer, die den Titel gehört haben, können Rezensionen abgeben.

Rezensionen - mit Klick auf einen der beiden Reiter können Sie die Quelle der Rezensionen bestimmen.